We provide Namaz Main Luqma Kay Masail online (apkid: com.pakapps.namazmainluqmakaymasail) in order to run this application in our online Android emulator.


Description:

Run this app named Namaz Main Luqma Kay Masail using MyAndroid.
You can do it using our Android online emulator.

Topic : Halat e Namaz me Imam ko lukma Dena.
Douran e Namaz Ager Imam ko uske Vool jane per Ayat yaad Kara de jaye tou ye Amal Namaz ko Fasid (batil,karab) Nahi karta balke Aysa karna jaiz hai ' Aur Ager usper koi Wajeh Dalill Na ho tab vi ye Ayat e Karima uske leye kaafi hai.
Namaz mai luqma Dene Ke Masail is kitab mai aapko bohot se masail milenge jo hum sabhi ko malum hona zoroori hai ise download kijiye or zyada se zyada share kijiye
Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah
Namaz ke dauran agar Imam Qirat bhool jaaye ya us pe Qirat mushtabah ho jaaye (yani woh confused ho jaaye) to peeche shareek namazi ko luqma dena (yani parhte waqt agar Imam quran mein kuch bhool jaaye to usey batana) chahiye chahe farz namaz ho ya Nafl.
Sunnat se is ki bahut saari daleelen milti hain.
Kuch aik neeche bayan ki jaa rahi hain.
Pehli Daleel: Musawwar bin Yazeed Maliki Radhiallahu Anhu se riwayat hai:
Tarjumah: Main RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein haazir huwa, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam namaz mein qirat farmaai (yani Quran parha) aur us mein se kuch Aayaat choot gayin jinhein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne tilawat nahi farmaya to aik aadmi ne (namaz ke baad) kaha: Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Aap ne falan falan aayat chor di hai.
Is par Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke tu ne mujhe yaad kiyun na dilaya.
(Abu Dawood: 907, Is Hadees ko Allama Albani Rahimahullah ne Hasan kaha hai)
Doosri Daleel: Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai:
Tarjumah: Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam namaz parha rahe they.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam par Qirat mushtaba ho gayi (yani bhool gaye ya agay peechay ho gaye.) Jab namaz se farigh huwe to Hazrat Ubai bin Kab (Hafiz e Quran) ko farmaya ke tu ne mere saath namaz parhi hai? Jawab diya ke haan! Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir tujhe kis cheez ne (luqma dene se) mana kiya.
(Abu Dawood: 907 B, Is Hadees ko Shaikh Albani, Allama Shaukaani aur Imam Nawawi Rahimahumullah ne Sahih kaha hai)
Pehli Hadees Imam ke qirat bhoolne se mutalliq hai aur doosri Hadees Qirat ke mushtabah (yani Qirat mein confusion) se mutalliq hai.
Teesri Daleel:

MyAndroid is not a downloader online for Namaz Main Luqma Kay Masail. It only allows to test online Namaz Main Luqma Kay Masail with apkid com.pakapps.namazmainluqmakaymasail. MyAndroid provides the official Google Play Store to run Namaz Main Luqma Kay Masail online.

Page navigation:

©2024. MyAndroid. All Rights Reserved.

By OffiDocs Group OU – Registry code: 1609791 -VAT number: EE102345621.